Thursday, December 11, 2008

Bitiya

tum mere sapno ka aakar ho ,tum pyar ho sansaar ho ,
tumne mujhme aur maine tum me saanse le hain,
tum sang bitayee har pal maine dil main sanjoo le hain,
tumhare aane ke intezaar main kai sapne bune hain,
ek ek pal ek ek lamhe chune hain,
tumko choo kar ek naye jeevan ka ehsaas mila hai
aaj bhagwaan ke saath khud par bhi vishwaas mila hai.
Tum meet,tum sang, tum hi jeevan tarang ho.
jeevan ke har prusth ke rang tum hi ho.
tum ne mujhe alhad hawa se purwai banaya,
tumhare aane ke anubhav ne mujhe sampurna stree banaya.
main beti thi, behen thi, saheli thi,
tumhare pita ki premika thi, patni thi,
par har ehsaas se pare ek naya ehsaas karaya,
maa hone ka garv diya aur matrutva ka ehsaas karaya.
beti ho kar jis maa ko kabhi na samjha,
ek hi pal main tumne wo mehsoos karaya.
Aaj maa hun aur beti bhi,
aaj apni maa chehra fir yaad aaya.
kabhi main bhi kheli thi uski goad main yun hi,
ek din tu bhi parayi ho jayegi mujhse yun hi.
yun hi reh jaungi aasu baha kar ek ek din gin gin,
par dua hogi meri bhi yehi ki khush rahe tu sada hi,
na yaad aau main tujhe ek bhi din.

MAA

tune hi to ungliyan pakad kar sikhaya tha chalna,jab ladkhada kar gire kadam to sikhaya tha sambhalna,
laga tere hi anchal main hai sansaar sara,bahar ghani dhoop aur samaya hai tujhmain chaon ghanera,
har gham, har pareshani main dil tujhi ko dhoonde,har kante ki chubhan pe man tera hi sparsh mange,
tu kahan hai ma, kyun kar diya yun anjana,apni hi jani beti ko kyun tuune hi na pehchana.
Har karah pe dil ne tujhe hi pukara par ,door khade ho kar tune paraya kar diya maan ki duhai dekar.
tu to ma thi, beti ke dard ko na samajh saki,uska saath dene ke jagah usi se abhimaan kar baithi.
ye beti tadap tadap kar jeeti rahi, sisak sisak kar ma ke pyar ko tarasti rahi.
Duniya ke bheed main, kismat se akele hi ladti rahi,kisi se kya umeed kare jab ma hi apni na rahi.
Kitni batein kitne gham the tujhse kehne sunne ko,par tujhko to fursat na thi is beti ki baat sunne ko.
Kismat main na tha tumhare haton se kanyadaan,par ye to na socha tha ki,yun khatam ho jayega tumhara apnapan.
Hui kuch bhool tumhari beti se nadani se,Par maa ho kar bhi kabhi bhula na saki tum wo man se. Na pyar kiya na dulaar kiya ,Jab beti maa banne ko taiyaar hui to uska hi tiraskaar kiya.
Kitna hi kosa tumne,sab sir mathe swekar kiya,Par ma tumne kabhi mera man se vishwas na kiya.
Ek tumhare vishwaas ke liye jiwan bhar sangharsh kiya,Kya kya na saha , kya kya na jiya.
Ma tune to kabhi pyar se sehla ki, ye din kaise beete ye bhi na poocha,Main panko aur phoolon pe soti hun aur tumko bhula baithi hun ye khud hi socha.
tum ko dard na ho isliye apna dukh tumse chupaya,aur tumne mujhko hi begairat aur matlabi bataya.
kyun ma kyun ,
kyun nahi ek baar kas ke seene se chipkaya aur mere dil ka haal suna.
taras gayi tere pyar ko aakhir main bhi to teri hi beti hun na...